Friday, January 1, 2010

About Aman Ki Asha TOI Campaign

A short episode to comment on TOI's new initiative..
Rastein par chalte hue...ek masum se insaan ko dekha... thoda sehma hua tha..aur thoda..naraaz bhi... har dafa dekh kar usko..madad ke liye dil lalcha sa jaata par har waqt yehi sochta, kya diya is insaan ne mujhe .. kabhi bhi shukriya tak ada nahi kiya.. balki grinha(gusse) se woh har baar meri taraf dekhta
aur kabhi muskarata...
shayad sochta hoga..
pagal hai jo har baar apna haath meri taraf de raha hai...
Aaj pata chal raha hai mujhe...
pagal main nahi tha..pagal woh tha jo har bar..
hath pakad nahi paya...diya maine aman ke liye uska saath..
jiska saath woh de naa paya..
is se na kuch fayda na kuch nuksaan hua...
bas hua yeh ki thode hi dinon mein woh insaan "insaan" hua...
chod diya hota agar main is prayas ko us hi din...
toh naa ban paya hota..woh insaan...insaan
aur aaj...na khula yeh aasman hota...
aur na koi insaan azaad hota...
yeh haath nahi badhaya tha maine sirf uske taraf
badhaya tha maine har us insaan ke taraf...
jo naraaz tha Aur jhuka hua tha apni hi nazaron mein apne aap se...


And thats how I like the Times of India initiative "Aman ki Aasha"...Thank you times and jang group for being generous enough to lend that helping hand...

Regards,
Bhavik Kothari